Tuesday, February 26, 2008

ज़ुबा ही सिर्फ एक ज़रिया नही.....................

Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi,
JoAaap Shabdon Ko Samajh Paayenge.
Kabhi Aankhon Mein Jhaank Kar Dekhiye,
Hazaro Alfaz Khud B Khud Bikhar Jayenge.

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai Chot Khane Ki,
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki,
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate,
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki.

Khamosh Raat Ke Pehalu Mein Sitare Nahi Hote,
In Rukhi Aankho Me Rangin Nazare Na Hote...
Ham Bhi Na Karte Parwah Aap Ki
Agar Aap Itne Pyare Na Hote..


Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Achha B Is Kadar Na Lage,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage...

Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai

Dil Gumsum, Jubaan Khamosh
Ye Aankhein Aaj Yu Nam Kyu Hai
Jise Kabhi Paya Hi Na Tha ,
Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyu Hai

No comments: